Need ka nirman phir phir

11:17:00 AM

Need ka nirman phir phir,
Neh ka aawhan phir phir.

Yeh uthi aandhi ki nabh me chaa gaya sahasa andhera
Dhuli dhusar baadalon ne bhumi ko iss bhanti ghera
Ki raat sa din ho gaya, Phir raat aayi aur kaali
Lag raha tha ab na hoga iss nisha ka phir sabera
Raat ke utpat bhay se bheet jan jan bheet kan kan
Kintu prachi se usha ki mohini muskan phir phir

Need ka nirman phir phir
Neh ka aawhan phir phir.

Kruddh nabh ke vajradanton se usha hai muskurati
Ghor garjanmay gagan ke kanth me khag pankti gaati
Ek chidiya chonch me tinka liye jo ja rahi hai
Woh sahaj hi pawan unchaas ko neecha dikhati
Naash ke dukh se kabhi dabta nahi nirman ka sukh
Parlay ki nisthabdata se srushti ka navgaan phir phir

Need ka nirman phir phir

Neh ka aawhan phir phir.

-Harivanshray Bachchan

0 comments